Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Varun Gagneja Wahid

  • Ghazal


raunaq-e-dil nikhaar kar rahiye


raunaq-e-dil nikhār kar rahiye
us kā ġham hai sañvār kar rakhiye

chāhe chhoTī ho ishq kī chādar
paañv apne pasār kar rakhiye

aa.iye khul ke baat karte haiñ
pahle chehra utaar kar rakhiye

is meñ ḳhairāt paḌne vaalī hai
apnā bartan sañvār kar rakhiye

jab talak lauT kar na aa.e vo
us ko tab tak pukār kar rakhiye

ruuh vāpas palaTne vaalī hai
jism ko taar taar kar rakhiye

jiit jāoge rahtī duniyā tak
ishq meñ ḳhud ko haar kar rakhiye

raunaq-e-dil nikhaar kar rahiye
us ka gham hai sanwar kar rakhiye

chahe chhoTi ho ishq ki chadar
panw apne pasar kar rakhiye

aaiye khul ke baat karte hain
pahle chehra utar kar rakhiye

is mein KHairaat paDne wali hai
apna bartan sanwar kar rakhiye

jab talak lauT kar na aae wo
us ko tab tak pukar kar rakhiye

ruh wapas palaTne wali hai
jism ko tar tar kar rakhiye

jit jaoge rahti duniya tak
ishq mein KHud ko haar kar rakhiye


Leave a comment

+