Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Varun Gagneja Wahid

  • Ghazal


har ghaDi har waqt hi bazar mein rahna paDa


har ghaḌī har vaqt hī bāzār meñ rahnā paḌā
bechnā thā ḳhud ko so aḳhbār meñ rahnā paḌā

ek hī tahrīr ko paanī pe likkhā baar baar
rahnā thā bas is liye sansār meñ rahnā paḌā

ḳhvāhisheñ to thiiñ ki ham buniyād kā patthar baneñ
haa.e kaisā jurm thā dīvār meñ rahnā paḌā

phir kisī se dostī us ne na mere baad kī
umr bhar mujh ko bhī phir aġhyār meñ rahnā paḌā

vo jo thā ḳhushbū kī mānind uḌnā jis kā shauq thā
bebasī dekho use ash.ār meñ rahnā paḌā

ham tasavvur kar na paa.e 'vāhid' us tasvīr kā
raat bhar ham ko ḳhayāl-e-yār meñ rahnā paḌā

har ghaDi har waqt hi bazar mein rahna paDa
bechna tha KHud ko so aKHbar mein rahna paDa

ek hi tahrir ko pani pe likkha bar bar
rahna tha bas is liye sansar mein rahna paDa

KHwahishen to thin ki hum buniyaad ka patthar banen
hae kaisa jurm tha diwar mein rahna paDa

phir kisi se dosti us ne na mere baad ki
umr bhar mujh ko bhi phir aghyar mein rahna paDa

wo jo tha KHushbu ki manind uDna jis ka shauq tha
bebasi dekho use ashaar mein rahna paDa

hum tasawwur kar na pae 'wahid' us taswir ka
raat bhar hum ko KHayal-e-yar mein rahna paDa


Leave a comment

+