Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Varun Anand

  • Ghazal


yun apni pyas ki KHud hi kahani likh rahe the hum


yuuñ apnī pyaas kī ḳhud hī kahānī likh rahe the ham
sulagtī ret pe uñglī se paanī likh rahe the ham

miyāñ bas maut hī sach hai vahāñ ye likh gayā koī
jahāñ par zindagānī zindagānī likh rahe the ham

mile tujh se to duniyā ko suhānī likh diyā ham ne
vagarna kab se us ko be-ma.ānī likh rahe the ham

hamīñ pe gir paḌī kal raat vo dīvār ro ro kar
ki jis pe apne maazī kī kahānī likh rahe the ham

yun apni pyas ki KHud hi kahani likh rahe the hum
sulagti ret pe ungli se pani likh rahe the hum

miyan bas maut hi sach hai wahan ye likh gaya koi
jahan par zindagani zindagani likh rahe the hum

mile tujh se to duniya ko suhani likh diya hum ne
wagarna kab se us ko be-maani likh rahe the hum

hamin pe gir paDi kal raat wo diwar ro ro kar
ki jis pe apne mazi ki kahani likh rahe the hum


Leave a comment

+