Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Varis Kirmani

  • Ghazal


ujaD ke ghar se sar-e-rah aa ke baiThe hain


ujaḌ ke ghar se sar-e-rāh aa ke baiThe haiñ
ham apnī zid meñ sabhī kuchh gañvā ke baiThe haiñ

kahāñ tak apnī hī parchhā.iyoñ se bhāgeñge
ye log jo tirī mahfil meñ aa ke baiThe haiñ

ab āh-o-zārī-e-ġham-ḳhvār kā fareb khulā
ye mehrbāñ bhī vahīñ dil lagā ke baiThe haiñ

azāb-e-hashr kā kyā zikr ham se ai vaa.iz
ham is balā ko yahīñ aazmā ke baiThe haiñ

ujaD ke ghar se sar-e-rah aa ke baiThe hain
hum apni zid mein sabhi kuchh ganwa ke baiThe hain

kahan tak apni hi parchhaiyon se bhagenge
ye log jo teri mahfil mein aa ke baiThe hain

ab aah-o-zari-e-gham-KHwar ka fareb khula
ye mehrban bhi wahin dil laga ke baiThe hain

azab-e-hashr ka kya zikr hum se ai waiz
hum is bala ko yahin aazma ke baiThe hain


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+