Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vali Madni

  • Ghazal


phaila na yun KHulus ki chadar mere liye


phailā na yuuñ ḳhulūs kī chādar mire liye
kal tak thā tere haath meñ patthar mire liye

palkoñ pe kuchh hasīn se motī sajā gayā
phir suunī suunī shaam kā manzar mire liye

dīvār-o-dar se us ke Tapaktī hai tishnagī
ik dasht-e-be-karāñ hai mirā ghar mire liye

ḳhushbū jo pyaar kī mujhe detā thā ab vahī
rakhtā hai dast-e-nāz meñ ḳhanjar mire liye

ye shab baḌī tavīl hai jā.ūñ kahāñ 'valī'
ab band ho chuke haiñ sabhī dar mire liye

phaila na yun KHulus ki chadar mere liye
kal tak tha tere hath mein patthar mere liye

palkon pe kuchh hasin se moti saja gaya
phir suni suni sham ka manzar mere liye

diwar-o-dar se us ke Tapakti hai tishnagi
ek dasht-e-be-karan hai mera ghar mere liye

KHushbu jo pyar ki mujhe deta tha ab wahi
rakhta hai dast-e-naz mein KHanjar mere liye

ye shab baDi tawil hai jaun kahan 'wali'
ab band ho chuke hain sabhi dar mere liye


Source: Book : Izhaar ki faslain (Pg. 30) Author : wali madani Publication : Maktaba-e-sadaf (2013) Edition : 2013

Leave a comment

+