banā kar ḳhud ko jis ne ik bhalā insān rakkhā hai
sukūn-e-qalb kā apne liye sāmān rakkhā hai
sukūñ ke saath jiinā to bahut dushvār hai lekin
zamāna ne pahuñchnā marg tak āsān rakkhā hai
na kyuuñ mohtāt rakhkhūñ ḳhud ko vaqt-e-guftugū tum se
tumhāre dil ko maiñ ne ābgīna jaan rakkhā hai
parī kyuuñ niiñd kī utre mirī palkoñ ke āñgan meñ
ki maiñ ne paal kar dil meñ ajab bohrān rakkhā hai
dar-o-dīvār par haiñ ghoñsle kitne parindoñ ke
kahūñ kaise ki qudarat ne ye ghar vīrān rakkhā hai
atā kar sāmnā karne kī jur.at ai ḳhudā dil meñ
mirī kashtī kī qismat meñ agar tūfān rakkhā hai
mire uupar 'valī' sab se baḌā ehsān hai us kā
ki jis ne shāḳh-e-dil par phuul sā īmān rakhā hai
bana kar KHud ko jis ne ek bhala insan rakkha hai
sukun-e-qalb ka apne liye saman rakkha hai
sukun ke sath jina to bahut dushwar hai lekin
zamana ne pahunchna marg tak aasan rakkha hai
na kyun mohtat rakhkhun KHud ko waqt-e-guftugu tum se
tumhaare dil ko main ne aabgina jaan rakkha hai
pari kyun nind ki utre meri palkon ke aangan mein
ki main ne pal kar dil mein ajab bohran rakkha hai
dar-o-diwar par hain ghonsle kitne parindon ke
kahun kaise ki qudarat ne ye ghar viran rakkha hai
ata kar samna karne ki jurat ai KHuda dil mein
meri kashti ki qismat mein agar tufan rakkha hai
mere upar 'wali' sab se baDa ehsan hai us ka
ki jis ne shaKH-e-dil par phul sa iman rakha hai
Source: Book : Izhaar ki faslain (Pg. 43) Author : wali madani Publication : Maktaba-e-sadaf (2013) Edition : 2013
Leave a comment