siine ke daaġh un ko dikhā.e na jā sake
mujh se fasāne ġham ke sunā.e na jā sake
aise nagar meñ merā muqaddar huā muqīm
jis meñ ḳhushī ke diip jalā.e na jā sake
aivān-e-sabr aaj zamīñ-bos ho gayā
palkoñ meñ ashk mujh se chhupā.e na jā sake
ham ne to ḳhūn-e-dil se khilā.e haiñ gulistāñ
tum se to ḳhār-o-ḳhas bhī ugaa.e na jā sake
gulshan jo thā ḳhulūs kā yaksar jhulas gayā
jab nafratoñ ke sho.ale bujhā.e na jā sake
bār-e-garāñ uThātā rahā huuñ magar 'valī'
ehsāñ kisī ke mujh se uThā.e na jā sake
sine ke dagh un ko dikhae na ja sake
mujh se fasane gham ke sunae na ja sake
aise nagar mein mera muqaddar hua muqim
jis mein KHushi ke dip jalae na ja sake
aiwan-e-sabr aaj zamin-bos ho gaya
palkon mein ashk mujh se chhupae na ja sake
hum ne to KHun-e-dil se khilae hain gulistan
tum se to KHar-o-KHas bhi ugae na ja sake
gulshan jo tha KHulus ka yaksar jhulas gaya
jab nafraton ke shoale bujhae na ja sake
bar-e-garan uThata raha hun magar 'wali'
ehsan kisi ke mujh se uThae na ja sake
Source: Book : Izhaar ki faslain (Pg. 70) Author : wali madani Publication : Maktaba-e-sadaf (2013) Edition : 2013
Leave a comment