Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Siddiqui

  • Ghazal


wajud us ka kabhi bhi na luqma-e-tar tha


vajūd us kā kabhī bhī na luqma-e-tar thā
vo har nivāle meñ dāñtoñ ke biich kañkar thā

alag alag the dil o zehn bad-nasīboñ ke
ajiib baat hai har dhaḌ pe ġhair kā sar thā

na jaane ham se gila kyuuñ hai tishna-kāmoñ ko
hamāre haath meñ mai thī na daur-e-sāġhar thā

lahūluhān hī kar detā pā-e-laġhzish ko
subūt detā ki vo rāste kā patthar thā

bahut hī ḳhuub thā vo indimāl se pahle
ki zaḳhm-e-tāza to dāġh-e-siyah se behtar thā

qarīb ḳhatm thā gulshan kā kārobār 'zahīr'
rag-e-gulū ko magar intizār-e-ḳhanjar thā

wajud us ka kabhi bhi na luqma-e-tar tha
wo har niwale mein danton ke bich kankar tha

alag alag the dil o zehn bad-nasibon ke
ajib baat hai har dhaD pe ghair ka sar tha

na jaane hum se gila kyun hai tishna-kaamon ko
hamare hath mein mai thi na daur-e-saghar tha

lahuluhan hi kar deta pa-e-laghzish ko
subut deta ki wo raste ka patthar tha

bahut hi KHub tha wo indimal se pahle
ki zaKHm-e-taza to dagh-e-siyah se behtar tha

qarib KHatm tha gulshan ka karobar 'zahir'
rag-e-gulu ko magar intizar-e-KHanjar tha


Source: Book : Roshan Waraq Waraq (Pg. 47)

Leave a comment

+