fasīl-e-reg par itnā bharosa kar liyā tum ne
chhateñ bhī Daal diiñ aur vā darīcha kar liyā tum ne
ta.ajjub hai ibādat meñ bhī aisā kar liyā tum ne
nahīñ dil ko jhukāyā aur sajda kar liyā tum ne
kabhī maanā sharī.at kī kabhī is se rahe aajiz
magar da.avā ki dil allāh vaalā kar liyā tum ne
mohabbat pyaar hamdardī sabhī ko rakh diyā girvī
husūl-e-aish kī ḳhātir jo chāhā kar liyā tum ne
sameTā zindagī bhar kaalī gorī jeb kī raunaq
Dhalā jab umr kā sūraj to tauba kar liyā tum ne
tahārat kī tamannā hai na dil meñ haq-pasandī hai
magar ma.asūm chehra aur labāda kar liyā tum ne
garāñ-māya amānat thī use mahfūz rakhnā thā
'valī' pākīza tahzīboñ kā saudā kar liyā tum ne
fasil-e-reg par itna bharosa kar liya tum ne
chhaten bhi Dal din aur wa daricha kar liya tum ne
tajjub hai ibaadat mein bhi aisa kar liya tum ne
nahin dil ko jhukaya aur sajda kar liya tum ne
kabhi mana shariat ki kabhi is se rahe aajiz
magar dawa ki dil allah wala kar liya tum ne
mohabbat pyar hamdardi sabhi ko rakh diya girwi
husul-e-aish ki KHatir jo chaha kar liya tum ne
sameTa zindagi bhar kali gori jeb ki raunaq
Dhala jab umr ka suraj to tauba kar liya tum ne
tahaarat ki tamanna hai na dil mein haq-pasandi hai
magar masum chehra aur labaada kar liya tum ne
garan-maya amanat thi use mahfuz rakhna tha
'wali' pakiza tahzibon ka sauda kar liya tum ne
Source: Book : Izhaar ki faslain (Pg. 90) Author : wali madani Publication : Maktaba-e-sadaf (2013) Edition : 2013
Leave a comment