chāñd-tāroñ kā tire rū-ba-rū sajda karnā
ḳhvāb dekhā hai to kyā ḳhvāb kā charchā karnā
husn-e-barham se mirā arz-e-tamannā karnā
jaise tūfān meñ sāhil se kinārā karnā
raas aa.egā na ye koshish-e-bejā karnā
bad-gumānī ko baḌhā kar mujhe tanhā karnā
merī jānib se hai ḳhāmosh darīche kā savāl
kab se sīkhā tirī āvāz ne parvā karnā
har-qadam par mirī kāñToñ ne pazīrā.ī kī
jurm pūchho to bahāroñ kī tamannā karnā
dāvat-e-shoḳhī-e-taqdīr use kahte haiñ
kār-e-imroz na karnā ġham-e-fardā karnā
un kī mohtāt-nigāhī ne bharam khol diyā
jin ko manzūr na thā raaz kā ifshā karnā
vaqt ke hāthoñ meñ tiryāk bhī hai zahr bhī hai
us ko yak-rañg samajh kar na bharosā karnā
tarjumān-e-ġham-e-dil un kī nazar hotī hai
jin ko aatā nahīñ iz.hār-e-tamannā karnā
ḳhud-numā.ī nahīñ insān kī ḳhuddārī hai
parcham-e-azmat-e-kirdār ko ūñchā karnā
zulmat-e-jumbish-e-lab kī nahīñ ummīd magar
nigah-e-nāz na bhūlegī ishārā karnā
go maiñ yūsuf nahīñ dāman to mire paas bhī hai
tum zarā pairvī-e-dast-e-zuleḳhā karnā
ai ki tū nāzish-e-sannā.ī-e-dast-e-fitrat
kaash aatā na tujhe ḳhūn-e-tamannā karnā
jāda-e-ishq meñ ik aisā maqām aatā hai
shart-e-avval hai jahāñ tark-e-tamannā karnā
aap ke ahd-e-vafā par mirā īmāñ jaise
kisī girtī huī dīvār pe takiya karnā
koshish-e-zabt meñ har saañs qayāmat hai 'urūj'
khel samjhe ho ġham-e-dil ko gavārā karnā
chand-taron ka tere ru-ba-ru sajda karna
KHwab dekha hai to kya KHwab ka charcha karna
husn-e-barham se mera arz-e-tamanna karna
jaise tufan mein sahil se kinara karna
ras aaega na ye koshish-e-beja karna
bad-gumani ko baDha kar mujhe tanha karna
meri jaanib se hai KHamosh dariche ka sawal
kab se sikha teri aawaz ne parwa karna
har-qadam par meri kanTon ne pazirai ki
jurm puchho to bahaaron ki tamanna karna
dawat-e-shoKHi-e-taqdir use kahte hain
kar-e-imroz na karna gham-e-farda karna
un ki mohtat-nigahi ne bharam khol diya
jin ko manzur na tha raaz ka ifsha karna
waqt ke hathon mein tiryak bhi hai zahr bhi hai
us ko yak-rang samajh kar na bharosa karna
tarjuman-e-gham-e-dil un ki nazar hoti hai
jin ko aata nahin izhaar-e-tamanna karna
KHud-numai nahin insan ki KHuddari hai
parcham-e-azmat-e-kirdar ko uncha karna
zulmat-e-jumbish-e-lab ki nahin ummid magar
nigah-e-naz na bhulegi ishaara karna
go main yusuf nahin daman to mere pas bhi hai
tum zara pairwi-e-dast-e-zuleKHa karna
ai ki tu nazish-e-sannai-e-dast-e-fitrat
kash aata na tujhe KHun-e-tamanna karna
jada-e-ishq mein ek aisa maqam aata hai
shart-e-awwal hai jahan tark-e-tamanna karna
aap ke ahd-e-wafa par mera iman jaise
kisi girti hui diwar pe takiya karna
koshish-e-zabt mein har sans qayamat hai 'uruj'
khel samjhe ho gham-e-dil ko gawara karna
Source: Book : Lahje ke Chiraag (Pg. 100) Author : Urooj Zaidi Publication : Irfan Zaidi, Rampur (1989) Edition : 1989
Leave a comment