Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Urmila Madhav

  • Ghazal


KHud sawal-o-jawab karte raho


ḳhud savāl-o-javāb karte raho
apne dil se hisāb karte raho

kyuuñ ye armān yuuñ hī mar jaa.e
talab-e-āftāb karte raho

chāñdnī ho yā chāñd ho ḳhud hī
tum to niyyat ḳharāb karte raho

chāhe tarjīh koī de yā nahīñ
ḳhud ko yuuñ hī sarāb karte raho

jab talak jism TuuT kar na gire
zindagī be-naqāb karte raho

KHud sawal-o-jawab karte raho
apne dil se hisab karte raho

kyun ye arman yun hi mar jae
talab-e-aftab karte raho

chandni ho ya chand ho KHud hi
tum to niyyat KHarab karte raho

chahe tarjih koi de ya nahin
KHud ko yun hi sarab karte raho

jab talak jism TuT kar na gire
zindagi be-naqab karte raho


Leave a comment

+