kisī ke faiz-e-qurb se hayāt ab sañvar ga.ī
nafas nafas mahak uThā nazar nazar nikhar ga.ī
nigāh-e-nāz jab uThī ajiib kaam kar ga.ī
jo rañg-e-ruḳh uḌā diyā to dil meñ rañg bhar ga.ī
mirī samajh meñ aa gayā har ek rāz-e-zindagī
jo dil pe choT paḌ ga.ī to duur tak nazar ga.ī
ab aas TuuT kar mujhe sukūñ nasīb ho gayā
jo shām-e-intizār thī vo shaam to guzar ga.ī
kalī dil-e-tabāh kī khilī na 'chishti'-e-hazīñ
ḳhizāñ bhī aa ke jā chukī bahār bhī guzar ga.ī
kisi ke faiz-e-qurb se hayat ab sanwar gai
nafas nafas mahak uTha nazar nazar nikhar gai
nigah-e-naz jab uThi ajib kaam kar gai
jo rang-e-ruKH uDa diya to dil mein rang bhar gai
meri samajh mein aa gaya har ek raaz-e-zindagi
jo dil pe choT paD gai to dur tak nazar gai
ab aas TuT kar mujhe sukun nasib ho gaya
jo sham-e-intizar thi wo sham to guzar gai
kali dil-e-tabah ki khili na 'chishti'-e-hazin
KHizan bhi aa ke ja chuki bahaar bhi guzar gai
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
kisi ke faiz-e-qurb se hayat ab sanwar gai
Nomaan Shauque
Leave a comment