Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Unwan Chishti

  • Ghazal


husn se aankh laDi ho jaise


husn se aañkh laḌī ho jaise
zindagī chauñk paḌī ho jaise

haa.e ye lamha tirī yaad ke saath
koī rahmat kī ghaḌī ho jaise

raah roke hue ik muddat se
koī doshīza khaḌī ho jaise

uf ye tābāni-e-māh-o-anjum
raat sehre kī laḌī ho jaise

un ko dekhā to huā ye mahsūs
jaan meñ jaan paḌī ho jaise

mujh se khulte hue sharmāte haiñ
ik girah dil meñ paḌī ho jaise

uf ye andāz-e-shikast-e-armāñ
shāḳh-e-gul TuuT paḌī ho jaise

uf ye ashkoñ kā tasalsul 'unvāñ'
koī sāvan kī jhaḌī ho jaise

husn se aankh laDi ho jaise
zindagi chaunk paDi ho jaise

hae ye lamha teri yaad ke sath
koi rahmat ki ghaDi ho jaise

rah roke hue ek muddat se
koi doshiza khaDi ho jaise

uf ye tabani-e-mah-o-anjum
raat sehre ki laDi ho jaise

un ko dekha to hua ye mahsus
jaan mein jaan paDi ho jaise

mujh se khulte hue sharmate hain
ek girah dil mein paDi ho jaise

uf ye andaz-e-shikast-e-arman
shaKH-e-gul TuT paDi ho jaise

uf ye ashkon ka tasalsul 'unwan'
koi sawan ki jhaDi ho jaise


Leave a comment

+