Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ummeed Fazli

  • Ghazal


nazar na aae to kya wo mere qayas mein hai


nazar na aa.e to kyā vo mire qayās meñ hai
vo ek jhuuT jo sachchā.ī ke libās meñ hai

amal se mere ḳhayāloñ kā muñh chiḌhātā hai
vo ek shaḳhs ki pinhāñ mire libās meñ hai

abhī jarāhat-e-sar hī ilaaj Thahrā hai
ki nabz-e-sañg kisī dast-e-be-qayās meñ hai

shajar se saaya judā hai to dhuup sūraj se
safar hayāt kā kis dasht-e-be-qayās meñ hai

zarā jo talḳh ho lahja to koī baat bane
ġharīb-e-shahr magar qaid-e-iltimās meñ hai

tujhe ḳhabar bhī hai ḳhud terī kam-nigāhī kā
ik e'tirāf tire harf-e-nā-sipās meñ hai

nazar na aae to kya wo mere qayas mein hai
wo ek jhuT jo sachchai ke libas mein hai

amal se mere KHayalon ka munh chiDhata hai
wo ek shaKHs ki pinhan mere libas mein hai

abhi jarahat-e-sar hi ilaj Thahra hai
ki nabz-e-sang kisi dast-e-be-qayas mein hai

shajar se saya juda hai to dhup suraj se
safar hayat ka kis dasht-e-be-qayas mein hai

zara jo talKH ho lahja to koi baat bane
gharib-e-shahr magar qaid-e-iltimas mein hai

tujhe KHabar bhi hai KHud teri kam-nigahi ka
ek e'tiraf tere harf-e-na-sipas mein hai


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 193) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+