jaane ye kaisā zahr diloñ meñ utar gayā
parchhā.īñ zinda rah ga.ī insān mar gayā
barbādiyāñ to merā muqaddar hī thiiñ magar
chehroñ se dostoñ ke mulammā utar gayā
ai dopahar kī dhuup batā kyā javāb duuñ
dīvār pūchhtī hai ki saaya kidhar gayā
is shahr meñ farāsh-talab hai har ek raah
vo ḳhush-nasīb thā jo salīqe se mar gayā
kyā kyā na us ko zom-e-masīhā.ī thā 'umīd'
ham ne dikhā.e zaḳhm to chehra utar gayā
jaane ye kaisa zahr dilon mein utar gaya
parchhain zinda rah gai insan mar gaya
barbaadiyan to mera muqaddar hi thin magar
chehron se doston ke mulamma utar gaya
ai dopahar ki dhup bata kya jawab dun
diwar puchhti hai ki saya kidhar gaya
is shahr mein farash-talab hai har ek rah
wo KHush-nasib tha jo saliqe se mar gaya
kya kya na us ko zom-e-masihai tha 'umid'
hum ne dikhae zaKHm to chehra utar gaya
Videos
This video is playing from YouTube
Videos
This video is playing from YouTube
Ummeed Fazli
Leave a comment