Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Rahmati

  • Ghazal


bahut kuchh wasl ke imkan hote


bahut kuchh vasl ke imkān hote
sharārat karte ham shaitān hote

simaT aa.ī hai ik kamre meñ duniyā
to bachche kis tarah nādān hote

kisī din uqda-e-mushkil bhī khultā
kabhī ham par bhī tum āsān hote

ḳhatā se muñh chhupā.e phir rahe haiñ
farishte ban ga.e insān hote

har ik dam jaañ nikālī jā rahī hai
ham ik dam se kahāñ be-jān hote

bahut kuchh wasl ke imkan hote
shararat karte hum shaitan hote

simaT aai hai ek kamre mein duniya
to bachche kis tarah nadan hote

kisi din uqda-e-mushkil bhi khulta
kabhi hum par bhi tum aasan hote

KHata se munh chhupae phir rahe hain
farishte ban gae insan hote

har ek dam jaan nikali ja rahi hai
hum ek dam se kahan be-jaan hote


Leave a comment

+