Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Umar Ansari

  • Ghazal


ho ke us kuche se aai to sitam Dha gai kya


ho ke us kūche se aa.ī to sitam Dhā ga.ī kyā
kuchh samajh meñ nahīñ aatā ki sabā pā ga.ī kyā

ye vahī merā nagar hai to mire yaar yahāñ
ek bastī mire pyāroñ kī thī kaam aa ga.ī kyā

merī sarhad meñ ġhanīmoñ kā guzar kaise huā
thī saroñ kī vo jo dīvār khaḌī Dhā ga.ī kyā

yuuñ to kahne ko bas ik mauj thī paanī kī magar
dekhnā ye haiñ ki pal-bhar meñ ġhazab Dhā ga.ī kyā

ba.ad muddat ke milā hai to mire yaar batā
terī āñkhoñ meñ jo ik barq thī kajlā ga.ī kyā

ab kisī baat meñ bhī jī nahīñ lagtā merā
dil meñ aa baiThī thī jo ḳhvāhish-e-duniyā ga.ī kyā

tazkire jis ke kitāboñ meñ paḌhā karte the
dekh bhaa.ī vo qayāmat kī ghaḌī aa ga.ī kyā

tere chehre pe 'umar' aaj ye raunaq kaisī
phir tabī.at koī mauzū-e-suḳhan pā ga.ī kyā

ho ke us kuche se aai to sitam Dha gai kya
kuchh samajh mein nahin aata ki saba pa gai kya

ye wahi mera nagar hai to mere yar yahan
ek basti mere pyaron ki thi kaam aa gai kya

meri sarhad mein ghanimon ka guzar kaise hua
thi saron ki wo jo diwar khaDi Dha gai kya

yun to kahne ko bas ek mauj thi pani ki magar
dekhna ye hain ki pal-bhar mein ghazab Dha gai kya

baad muddat ke mila hai to mere yar bata
teri aankhon mein jo ek barq thi kajla gai kya

ab kisi baat mein bhi ji nahin lagta mera
dil mein aa baiThi thi jo KHwahish-e-duniya gai kya

tazkire jis ke kitabon mein paDha karte the
dekh bhai wo qayamat ki ghaDi aa gai kya

tere chehre pe 'umar' aaj ye raunaq kaisi
phir tabiat koi mauzu-e-suKHan pa gai kya


Leave a comment

+