Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tariq Jami

  • Ghazal


main baam-o-dar pe jo ab saen saen likhta hun


maiñ bām-o-dar pe jo ab saa.eñ saa.eñ likhtā huuñ
tamām shahar kī saḌkoñ kī raa.eñ likhtā huuñ

tavīl galiyoñ meñ ḳhāmoshiyāñ ugī haiñ magar
har ik darīche pe jā kar sadā.eñ likhtā huuñ

safed dhuup ke tuude hī jan pe girte haiñ
inhī udaas gharoñ kī kathā.eñ maiñ likhtā huuñ

havā ke dosh pe raqsāñ nahīf pattoñ par
badalte mausamoñ kī ittilā.eñ likhtā huuñ

maiñ jhuñjhlāhaToñ par zabt kar nahīñ saktā
saḌak pe chalte hue daa.eñ baa.eñ likhtā huuñ

tire ḳhulūs ne mujh se vo dushmanī kī hai
tire liye to maiñ ab bad-duā.eñ likhtā huuñ

main baam-o-dar pe jo ab saen saen likhta hun
tamam shahar ki saDkon ki raen likhta hun

tawil galiyon mein KHamoshiyan ugi hain magar
har ek dariche pe ja kar sadaen likhta hun

safed dhup ke tude hi jan pe girte hain
inhi udas gharon ki kathaen main likhta hun

hawa ke dosh pe raqsan nahif patton par
badalte mausamon ki ittilaen likhta hun

main jhunjhlahaTon par zabt kar nahin sakta
saDak pe chalte hue daen baen likhta hun

tere KHulus ne mujh se wo dushmani ki hai
tere liye to main ab bad-duaen likhta hun


Source: Book : siip (Magzin) (Pg. 270) Author : Nasiim Durraani Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) ) Edition :  39 (Quarterly)

Leave a comment

+