lab-e-ḳhamosh mirā baat se ziyāda hai
tirā firāq mulāqāt se ziyāda hai
ye ik shikast jo ham ko huī mohabbat meñ
zamāne bhar kī futūhāt se ziyāda hai
bahut hī ġhaur se suntā huuñ dil kī dhaḌkan ko
ye ik sadā sabhī asvāt se ziyāda hai
umiid bhī tire aane kī aaj kam hai idhar
ye dil kā dard bhī kal raat se ziyāda hai
maiñ us se ishq to kar baiThā huuñ magar 'tāriq'
ye silsila mirī auqāt se ziyāda hai
lab-e-KHamosh mera baat se ziyaada hai
tera firaq mulaqat se ziyaada hai
ye ek shikast jo hum ko hui mohabbat mein
zamane bhar ki futuhat se ziyaada hai
bahut hi ghaur se sunta hun dil ki dhaDkan ko
ye ek sada sabhi aswat se ziyaada hai
umid bhi tere aane ki aaj kam hai idhar
ye dil ka dard bhi kal raat se ziyaada hai
main us se ishq to kar baiTha hun magar 'tariq'
ye silsila meri auqat se ziyaada hai
Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 586) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009
Leave a comment