toḌne gul ko jo vo shoḳh-e-tarahdār jhukā
un ke qadmoñ pe sar-e-bulbul-e-gulzār jhukā
dekh lī tere nashe meñ jo gulābī āñkheñ
aañkh ko sharm se le nargis-e-bīmār jhukā
us kī pā-posh kī chamkī jo dam-e-sub.h kiran
chūmne us ke qadam matla-e-anvār jhukā
daur-e-sāqī meñ mire jhukne lagā ek pe ek
jaam sāġhar pe hai sāġhar pe hai vo yaar jhukā
tum ne 'tanvīr' likhā aisā javāb-e-'saudā'
jins-e-mazmūñ pe har ik ban ke ḳharīdār jhukā
toDne gul ko jo wo shoKH-e-tarahdar jhuka
un ke qadmon pe sar-e-bulbul-e-gulzar jhuka
dekh li tere nashe mein jo gulabi aankhen
aankh ko sharm se le nargis-e-bimar jhuka
us ki pa-posh ki chamki jo dam-e-subh kiran
chumne us ke qadam matla-e-anwar jhuka
daur-e-saqi mein mere jhukne laga ek pe ek
jam saghar pe hai saghar pe hai wo yar jhuka
tum ne 'tanwir' likha aisa jawab-e-'sauda'
jins-e-mazmun pe har ek ban ke KHaridar jhuka
Source: Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Leave a comment