Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanvir Dehlvi

  • Ghazal


id ho jae abhi talib-e-didaron ko


iid ho jaa.e abhī tālib-e-dīdāroñ ko
khol do zulf se gar chāñd se ruḳhsāroñ ko

le ke dil chain se jā baiThe vo ghar meñ chhup ke
ab to āñkheñ bhī tarasne lagīñ nazzāroñ ko

phal ye qātil ko diyā merī girāñ-jānī ne
toḌ kar Dher kiyā saikḌoñ talvāroñ ko

ain altāf hai maz.hab meñ hasīnoñ ke sitam
bad-shugūnī hai unheñ pūchhnā bīmāroñ ko

daur-e-sāqī meñ bhī ulTī bahī gañgā har roz
jab diyā jām-e-mai-e-nāb to aġhyāroñ ko

kabhū saudā kabhū vahshat kabhū ġhaflat kabhū dard
aag lag jaa.e mohabbat ke in āzāroñ ko

vo parī-rū hai piyo shauq se tum ai 'tanvīr'
mai se parhez nahīñ chāhiye mai-ḳhvāro ko

id ho jae abhi talib-e-didaron ko
khol do zulf se gar chand se ruKHsaron ko

le ke dil chain se ja baiThe wo ghar mein chhup ke
ab to aankhen bhi tarasne lagin nazzaron ko

phal ye qatil ko diya meri giran-jaani ne
toD kar Dher kiya saikDon talwaron ko

ain altaf hai mazhab mein hasinon ke sitam
bad-shuguni hai unhen puchhna bimaron ko

daur-e-saqi mein bhi ulTi bahi ganga har roz
jab diya jam-e-mai-e-nab to aghyaron ko

kabhu sauda kabhu wahshat kabhu ghaflat kabhu dard
aag lag jae mohabbat ke in aazaron ko

wo pari-ru hai piyo shauq se tum ai 'tanwir'
mai se parhez nahin chahiye mai-KHwaro ko


Source: Intikhab-e-Sukhan,Volume-001

Leave a comment

+