Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanvir Dehlvi

  • Ghazal


wo kah to gae hain ki hum aawenge sahar tak


vo kah to ga.e haiñ ki ham āveñge sahar tak
ummīd hai jiine kī kise chār-pahar tak

zulmāt-o-adam meñ na rahā farq sar-e-mū
vo zulf-e-dotā chhuTte hī pahoñche hai kamar tak

hai rauzan-e-dar-dīda-e-ḳhurshīd-e-qayāmat
vo jhāñkne aa.e the kuhan rauzan-e-dar tak

kuchh kah deñ ishāroñ hī se vo muñh se na boleñ
vo māñgeñ to ham jaan talak deñ unheñ sar tak

'tanvīr' suḳhan-fahm samajhte haiñ suḳhan ko
kuchh qadr hunar kī hai to hai ahl-e-hunar tak

wo kah to gae hain ki hum aawenge sahar tak
ummid hai jine ki kise chaar-pahar tak

zulmat-o-adam mein na raha farq sar-e-mu
wo zulf-e-dota chhuTte hi pahonche hai kamar tak

hai rauzan-e-dar-dida-e-KHurshid-e-qayamat
wo jhankne aae the kuhan rauzan-e-dar tak

kuchh kah den ishaaron hi se wo munh se na bolen
wo mangen to hum jaan talak den unhen sar tak

'tanwir' suKHan-fahm samajhte hain suKHan ko
kuchh qadr hunar ki hai to hai ahl-e-hunar tak


Source: Intikhab-e-Sukhan,Volume-001

Leave a comment

+