ishāre muddatoñ se kar rahā hai
abhī tak saaf kahte Dar rahā hai
bachānā chāhtā hai vo sabhī ko
bahut marne kī koshish kar rahā hai
samundar tak rasā.ī ke liye vo
zamāne bhar kā paanī bhar rahā hai
kahīñ kuchh hai purāne ḳhvāb jaisā
mirī āñkhoñ se zālim Dar rahā hai
zamāne bhar ko hai ummīd usī se
vo nā-ummīd aisā kar rahā hai
ishaare muddaton se kar raha hai
abhi tak saf kahte Dar raha hai
bachana chahta hai wo sabhi ko
bahut marne ki koshish kar raha hai
samundar tak rasai ke liye wo
zamane bhar ka pani bhar raha hai
kahin kuchh hai purane KHwab jaisa
meri aankhon se zalim Dar raha hai
zamane bhar ko hai ummid usi se
wo na-ummid aisa kar raha hai
Leave a comment