Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanveer Anjum

  • Ghazal


suraj sara shahr Daraata rahta hai


sūraj saarā shahr Darātā rahtā hai
pathrīlī saḌkoñ pe dariyā pyāsā hai

niiñd hamārī bhiiḌ meñ hañstī rahtī hai
jañgal apnī ḳhāmoshī meñ uljhā hai

dhartī aur ākāsh kī duniyā meñ jīvan
do tūfānoñ meñ qaidī kashtī sā hai

havā parindoñ ko le kar kis des ga.ī
maidānoñ meñ peḌoñ kā sannāTā hai

rātoñ kī sargoshī bantī huuñ 'anjum'
ḳhvāboñ meñ bādal sā uḌtā rahtā hai

suraj sara shahr Daraata rahta hai
pathrili saDkon pe dariya pyasa hai

nind hamari bhiD mein hansti rahti hai
jangal apni KHamoshi mein uljha hai

dharti aur aakash ki duniya mein jiwan
do tufanon mein qaidi kashti sa hai

hawa parindon ko le kar kis des gai
maidanon mein peDon ka sannaTa hai

raaton ki sargoshi banti hun 'anjum'
KHwabon mein baadal sa uDta rahta hai


Leave a comment

+