Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanveer Anjum

  • Ghazal


shahron ke sare jangal gunjaan ho gae hain


shahroñ ke saare jañgal gunjān ho ga.e haiñ
phir log mere andar sunsān ho ga.e haiñ

in dūriyoñ kī mushkil ā.ankhoñ meñ bujh ga.ī hai
ham āñ.suoñ meñ bah kar āsān ho ga.e haiñ

aisī ḳhamoshiyāñ haiñ sab rāste judā haiñ
alfāz meñ jazīre vīrān ho ga.e haiñ

tum barf meñ na jaane kab se jame hue ho
ham jaane kis havā kā tūfān ho ga.e haiñ

jismoñ kī sardiyoñ meñ phir jal ga.e haiñ rishte
sab ek dūsre ke mehmān ho ga.e haiñ

shahron ke sare jangal gunjaan ho gae hain
phir log mere andar sunsan ho gae hain

in duriyon ki mushkil aaankhon mein bujh gai hai
hum aansuon mein bah kar aasan ho gae hain

aisi KHamoshiyan hain sab raste juda hain
alfaz mein jazire viran ho gae hain

tum barf mein na jaane kab se jame hue ho
hum jaane kis hawa ka tufan ho gae hain

jismon ki sardiyon mein phir jal gae hain rishte
sab ek dusre ke mehman ho gae hain


Leave a comment

+