Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanveer Anjum

  • Ghazal


bastiyan to aasman le jaenge


bastiyāñ to āsmāñ le jā.eñge
ye samundar kis kināre jā.eñge

fāsloñ meñ zindagī kho jā.egī
gumbadoñ meñ ḳhvāb dekhe jā.eñge

tum kisī manzar meñ sun lenā hameñ
ham kabhī gūñjoñ meñ Dhalte jā.eñge

duur tak ye rāste ḳhāmosh haiñ
duur tak ham ḳhud ko sunte jā.eñge

ik daf.a kī niiñd kaisā jurm hai
umr bhar ham tum ko DhūñDe jā.eñge

bastiyan to aasman le jaenge
ye samundar kis kinare jaenge

faslon mein zindagi kho jaegi
gumbadon mein KHwab dekhe jaenge

tum kisi manzar mein sun lena hamein
hum kabhi gunjon mein Dhalte jaenge

dur tak ye raste KHamosh hain
dur tak hum KHud ko sunte jaenge

ek dafa ki nind kaisa jurm hai
umr bhar hum tum ko DhunDe jaenge


Leave a comment

+