jis ko chāho tum us ko bhar do
maah ko nuqra mehr ko zar do
pīr-e-muġhāñ se arz ye kar do
dakhkhin baḳhsho agar sāġhar do
aah ye donoñ āfat-e-jāñ haiñ
nāz-o-adā la.anat bar har do
jī jaltā hai aah ke jhoñko
sham-e-mohabbat ko gul kar do
qatra-fishānī kyā ai āñkho
aise barso jal-thal bhar do
bulbulo sayyād aaj ḳhafā hai
halq chhurī ke nīche dhar do
jaan un āñkhoñ se na bachegī
ye hai idhar tanhā vo udhar do
dam kī āmad-o-shud kyā kahiye
zo.af kī raah se haiñ ye safar do
apnā galā ḳhud kāTte haiñ ham
dam lo chhurī kī tale be-dardo
jān-o-māl fidā karne meñ
fikr-o-taraddud ai nā-mardo
arz ye hai naqqāsh-e-azal se
hub ke naqsh meñ yaar ko ghar do
daulat-e-dil tum to hāzir hai
ḳhatt-e-ezār tamassuk kar do
shukr-guzār ba-har-sūrat haiñ
zahar hameñ do yā shakkar do
āñkhoñ meñ hai mavād-e-girya
'bahr' in phoḌoñ ko nashtar do
jis ko chaho tum us ko bhar do
mah ko nuqra mehr ko zar do
pir-e-mughan se arz ye kar do
dakhkhin baKHsho agar saghar do
aah ye donon aafat-e-jaan hain
naz-o-ada lanat bar har do
ji jalta hai aah ke jhonko
sham-e-mohabbat ko gul kar do
qatra-fishani kya ai aankho
aise barso jal-thal bhar do
bulbulo sayyaad aaj KHafa hai
halq chhuri ke niche dhar do
jaan un aankhon se na bachegi
ye hai idhar tanha wo udhar do
dam ki aamad-o-shud kya kahiye
zoaf ki rah se hain ye safar do
apna gala KHud kaTte hain hum
dam lo chhuri ki tale be-dardo
jaan-o-mal fida karne mein
fikr-o-taraddud ai na-mardo
arz ye hai naqqash-e-azal se
hub ke naqsh mein yar ko ghar do
daulat-e-dil tum to hazir hai
KHatt-e-ezar tamassuk kar do
shukr-guzar ba-har-surat hain
zahar hamein do ya shakkar do
aankhon mein hai mawad-e-girya
'bahr' in phoDon ko nashtar do
Leave a comment