dil kī dil ne na kahī yuuñ to ka.ī baar mile
ham shanāsā the magar sūrat-e-aġhyār mile
us se kahnā ki na ab aur vo itrā ke chale
dosto tum ko agar yār-e-tarah-dār mile
bevafā ham haiñ to ai jān-e-vafā yūñhī sahī
DhūñD lenā jo tumheñ koī vafādār mile
ham to dil de ke bhī duniyā meñ akele hī rahe
jo havas kaar the sab un ke taraf-dār mile
dil kī qīmat to mohabbat ke sivā kuchh bhī na thī
jo mile sūrat-e-zebā ke ḳharīdār mile
ham ne kāñToñ ko bhī siine se lagā rakkhā hai
ḳhaar bhī ham se ba-rañg-e-gul-e-gulzār mile
dūriyāñ fāsle ho jaate haiñ tai āḳhir-e-kār
sar-e-gulzār jo bichhḌe the sar-e-dār mile
dil ki dil ne na kahi yun to kai bar mile
hum shanasa the magar surat-e-aghyar mile
us se kahna ki na ab aur wo itra ke chale
dosto tum ko agar yar-e-tarah-dar mile
bewafa hum hain to ai jaan-e-wafa yunhi sahi
DhunD lena jo tumhein koi wafadar mile
hum to dil de ke bhi duniya mein akele hi rahe
jo hawas kar the sab un ke taraf-dar mile
dil ki qimat to mohabbat ke siwa kuchh bhi na thi
jo mile surat-e-zeba ke KHaridar mile
hum ne kanTon ko bhi sine se laga rakkha hai
KHar bhi hum se ba-rang-e-gul-e-gulzar mile
duriyan fasle ho jate hain tai aaKHir-e-kar
sar-e-gulzar jo bichhDe the sar-e-dar mile
Leave a comment