Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Varun Anand

  • Ghazal


ghazal ki chahaton ashaar ki jagir wale hain


ġhazal kī chāhatoñ ash.ār kī jāgīr vaale haiñ
tumheñ kis ne kahā hai ham barī taqdīr vaale haiñ

vo jin ko ḳhud se matlab hai siyāsī kaam dekheñ vo
hamāre saath aa.eñ jo parā.ī pair vaale haiñ

vo jin ke paañv the āzād pīchhe rah ga.e haiñ vo
bahut aage nikal aa.eñ haiñ jo zanjīr vaale haiñ

haiñ khoTī niyyateñ jin kī vo kuchh bhī pā nahīñ sakte
nishāne kyā lageñ un ke jo TeḌhe tiir vaale haiñ

tumhārī yādeñ patthar bāziyāñ kartī haiñ siine meñ
hamāre haal bhī ab hū-ba-hū kashmīr vaale haiñ

ghazal ki chahaton ashaar ki jagir wale hain
tumhein kis ne kaha hai hum bari taqdir wale hain

wo jin ko KHud se matlab hai siyasi kaam dekhen wo
hamare sath aaen jo parai pair wale hain

wo jin ke panw the aazad pichhe rah gae hain wo
bahut aage nikal aaen hain jo zanjir wale hain

hain khoTi niyyaten jin ki wo kuchh bhi pa nahin sakte
nishane kya lagen un ke jo TeDhe tir wale hain

tumhaari yaaden patthar baziyan karti hain sine mein
hamare haal bhi ab hu-ba-hu kashmir wale hain


Leave a comment

+