Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanveer Ahmad Alvi

  • Ghazal


dil ke bhule hue afsane bahut yaad aae


dil ke bhūle hue afsāne bahut yaad aa.e
zindagī tere sanam-ḳhāne bahut yaad aa.e

kūza-e-dil kī tarah pahle unheñ toḌ diyā
ab vo TuuTe hue paimāne bahut yaad aa.e

vo jo ġhairoñ kī salīboñ ko uThā laa.e the
ḳhud masīhā ko vo dīvāne bahut yaad aa.e

jism-o-jāñ ke ye sanam-zād ilāhī tauba
dil ke ujḌe hue but-ḳhāne bahut yaad aa.e

maut kā raqs hai afsurdagī-e-jāñ kā ilaaj
jal bujhī sham.a to parvāne bahut yaad aa.e

dil ke zaḳhmoñ ke bhalā kis ko mayassar haiñ charāġh
ashk-dar-ashk vo nazrāne bahut yaad aa.e

dekh kar shahr-e-ḳhirad kī ye kashākash 'tanvīr'
dasht-e-ehsās ke vīrāne bahut yaad aa.e

dil ke bhule hue afsane bahut yaad aae
zindagi tere sanam-KHane bahut yaad aae

kuza-e-dil ki tarah pahle unhen toD diya
ab wo TuTe hue paimane bahut yaad aae

wo jo ghairon ki salibon ko uTha lae the
KHud masiha ko wo diwane bahut yaad aae

jism-o-jaan ke ye sanam-zad ilahi tauba
dil ke ujDe hue but-KHane bahut yaad aae

maut ka raqs hai afsurdagi-e-jaan ka ilaj
jal bujhi shama to parwane bahut yaad aae

dil ke zaKHmon ke bhala kis ko mayassar hain charagh
ashk-dar-ashk wo nazrane bahut yaad aae

dekh kar shahr-e-KHirad ki ye kashakash 'tanwir'
dasht-e-ehsas ke virane bahut yaad aae


Source: Raqs-e-lamhaat

Leave a comment

+