Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habib Jalib

  • Ghazal


tum se pahle wo jo ek shaKHs yahan taKHt-nashin tha


tum se pahle vo jo ik shaḳhs yahāñ taḳht-nashīñ thā
us ko bhī apne ḳhudā hone pe itnā hī yaqīñ thā

koī Thahrā ho jo logoñ ke muqābil to batāo
vo kahāñ haiñ ki jinheñ naaz bahut apne ta.iiñ thā

aaj so.e haiñ tah-e-ḳhāk na jaane yahāñ kitne
koī shola koī shabnam koī mahtāb-jabīñ thā

ab vo phirte haiñ isī shahr meñ tanhā liye dil ko
ik zamāne meñ mizāj un kā sar-e-arsh-e-barīñ thā

chhoḌnā ghar kā hameñ yaad hai 'jālib' nahīñ bhūle
thā vatan zehn meñ apne koī zindāñ to nahīñ thā

tum se pahle wo jo ek shaKHs yahan taKHt-nashin tha
us ko bhi apne KHuda hone pe itna hi yaqin tha

koi Thahra ho jo logon ke muqabil to batao
wo kahan hain ki jinhen naz bahut apne tain tha

aaj soe hain tah-e-KHak na jaane yahan kitne
koi shola koi shabnam koi mahtab-jabin tha

ab wo phirte hain isi shahr mein tanha liye dil ko
ek zamane mein mizaj un ka sar-e-arsh-e-barin tha

chhoDna ghar ka hamein yaad hai 'jalib' nahin bhule
tha watan zehn mein apne koi zindan to nahin tha

RECITATIONS Habib Jalib



00:00/00:00 tum se pahle wo jo ek shaKHs yahan taKHt-nashin tha Habib Jalib

Leave a comment

+