Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lais Quraishi

  • Ghazal


zamir-o-zehan se ki hain baghawaten kya kya


zamīr-o-zehan se kī haiñ baġhāvateñ kyā kyā
munāfiqoñ se nibhā.īñ rifāqateñ kyā kyā

hayāt arsa-e-karb-o-balā meñ guzrī hai
tamām-umr huī haiñ shahādateñ kyā kyā

kisī se pyaar kisī se vafā kisī se ḳhulūs
bigaḌ ga.ī haiñ hamārī bhī ādateñ kyā kyā

ye jabr hai ki ġharaz se ġharaz badalte haiñ
hameñ aziiz thiiñ varna sharāfateñ kyā kyā

mizāj-e-vaqt ne chhīnā hai mujh se merā mizāj
guzartī rahtī haiñ dil par qayāmateñ kyā kyā

sabā pe harf na aa.e kiran kā dil na dukhe
shagufta gul ke liye haiñ nazākateñ kyā kyā

ye aur baat samajhne se ham haiñ qāsir 'lais'
jabīn-e-vaqt par dekhīñ ibārateñ kyā kyā

zamir-o-zehan se ki hain baghawaten kya kya
munafiqon se nibhain rifaqaten kya kya

hayat arsa-e-karb-o-bala mein guzri hai
tamam-umr hui hain shahadaten kya kya

kisi se pyar kisi se wafa kisi se KHulus
bigaD gai hain hamari bhi aadaten kya kya

ye jabr hai ki gharaz se gharaz badalte hain
hamein aziz thin warna sharafaten kya kya

mizaj-e-waqt ne chhina hai mujh se mera mizaj
guzarti rahti hain dil par qayamaten kya kya

saba pe harf na aae kiran ka dil na dukhe
shagufta gul ke liye hain nazakaten kya kya

ye aur baat samajhne se hum hain qasir 'lais'
jabin-e-waqt par dekhin ibaraten kya kya

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Lais Quraishi

Leave a comment

+