Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faraz Mahmood Fariz

  • Ghazal


is liye dauDte hi aise hain


is liye dauḌte hī aise haiñ
ham ko kuchh vasvase hī aise haiñ

vaañ pe gandum bhī khā nahīñ sakte
ḳhuld meñ mas.ale hī aise haiñ

yā to saarā jahān bahrā hai
yā to ham bolte hī aise haiñ

ruuh bhī kyā kare miyāñ āḳhir
jism ke mashġhale hī aise haiñ

yā mirā aks jhuuT kahtā hai
yā sabhī aa.ine hī aise haiñ

us ko chhupne meñ lutf aatā hai
ham use DhūñDte hī aise haiñ

jāniye ab hue haiñ aise ham
yā shurūāt se hī aise haiñ

is liye dauDte hi aise hain
hum ko kuchh waswase hi aise hain

wan pe gandum bhi kha nahin sakte
KHuld mein masale hi aise hain

ya to sara jahan bahra hai
ya to hum bolte hi aise hain

ruh bhi kya kare miyan aaKHir
jism ke mashghale hi aise hain

ya mera aks jhuT kahta hai
ya sabhi aaine hi aise hain

us ko chhupne mein lutf aata hai
hum use DhunDte hi aise hain

jaaniye ab hue hain aise hum
ya shuruat se hi aise hain


Leave a comment

+