Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Merathi

  • Ghazal


dar-o-rasan ne kis ko chuna dekhte chalen


dār-o-rasan ne kis ko chunā dekhte chaleñ
ye kaun sar-buland huā dekhte chaleñ

aa.egā phir chaman pe tasarruf kā vaqt bhī
pahle qafas kī āb-o-havā dekhte chaleñ

jaate the ham to pher ke muñh jalva-gāh se
lekin dil o nazar ne kahā dekhte chaleñ

haañ ik nazar 'hafīz' pe ibrat ke vāste
kyā rah ga.ī hai qadr-e-vafā dekhte chaleñ

dar-o-rasan ne kis ko chuna dekhte chalen
ye kaun sar-buland hua dekhte chalen

aaega phir chaman pe tasarruf ka waqt bhi
pahle qafas ki aab-o-hawa dekhte chalen

jate the hum to pher ke munh jalwa-gah se
lekin dil o nazar ne kaha dekhte chalen

han ek nazar 'hafiz' pe ibrat ke waste
kya rah gai hai qadr-e-wafa dekhte chalen


Leave a comment

+