Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abdul Ghaffar Azm

  • Ghazal


ye aur baat hai kuchh gham jahan jahan na hua


ye aur baat hai kuchh ġham jahāñ jahāñ na huā
hamāre haal kā charchā kahāñ kahāñ na huā

hue ho jāñ-ba-lab ab hogā kyā tamannā kā
jahāñ pe DhūñDte ho dil agar vahāñ na huā

mile jo jurm-e-vafā kī sazā yahīñ pe mile
hisāb apnā kahāñ hogā jo yahāñ na huā

nahīñ haiñ aañsū hī koī zabāñ mire dil kī
hai aisā ashk bhī āñkhoñ se jo ravāñ na huā

huā kyā jāniye dil ko mire shab-e-tārīk
hazāroñ daaġh magar ek bhī ayaañ na huā

chaḌhāyā daar pe aur kar diyā mujhe zinda
ye aur kuchh huā hasrat hai imtihāñ na huā

sunā rahe ho yuuñ vahshat meñ hāl-e-ġham jo 'azm'
huā vo nāla-e-dil dard kā bayāñ na huā

ye aur baat hai kuchh gham jahan jahan na hua
hamare haal ka charcha kahan kahan na hua

hue ho jaan-ba-lab ab hoga kya tamanna ka
jahan pe DhunDte ho dil agar wahan na hua

mile jo jurm-e-wafa ki saza yahin pe mile
hisab apna kahan hoga jo yahan na hua

nahin hain aansu hi koi zaban mere dil ki
hai aisa ashk bhi aankhon se jo rawan na hua

hua kya jaaniye dil ko mere shab-e-tarik
hazaron dagh magar ek bhi ayan na hua

chaDhaya dar pe aur kar diya mujhe zinda
ye aur kuchh hua hasrat hai imtihan na hua

suna rahe ho yun wahshat mein haal-e-gham jo 'azm'
hua wo nala-e-dil dard ka bayan na hua


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 417) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+