Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Naseem

  • Ghazal


is qadar bhi to na jazbaat pe qabu rakkho


is qadar bhī to na jazbāt pe qaabū rakkho
thak ga.e ho to mire kāñdhe pe baazū rakkho

bhūlne paa.e na is dasht kī vahshat dil se
shahr ke biich raho baaġh meñ aahū rakkho

ḳhushk ho jā.egī rote hue sahrā kī tarah
kuchh bachā kar bhī to is aañkh meñ aañsū rakkho

raushnī hogī to aa jā.egā rah-rav dil kā
us kī yādoñ ke diye taaq meñ har-sū rakkho

yaad aa.egī tumhārī hī safar meñ us ko
us ke rūmāl meñ ik achchhī sī ḳhushbū rakkho

ab vo mahbūb nahīñ apnā magar dost to hai
us se ye ek ta.alluq hī bahar-sū rakkho

is qadar bhi to na jazbaat pe qabu rakkho
thak gae ho to mere kandhe pe bazu rakkho

bhulne pae na is dasht ki wahshat dil se
shahr ke bich raho bagh mein aahu rakkho

KHushk ho jaegi rote hue sahra ki tarah
kuchh bacha kar bhi to is aankh mein aansu rakkho

raushni hogi to aa jaega rah-raw dil ka
us ki yaadon ke diye taq mein har-su rakkho

yaad aaegi tumhaari hi safar mein us ko
us ke rumal mein ek achchhi si KHushbu rakkho

ab wo mahbub nahin apna magar dost to hai
us se ye ek talluq hi bahar-su rakkho


Source: Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 13.02.2015)

Leave a comment

+