Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kamran Nadeem

  • Ghazal


ek tasalsul se raigani hai


ik tasalsul se rā.igānī hai
zindagī bhī ajab kahānī hai

sar meñ saudā nayā samāyā hai
dil meñ vahshat vahī purānī hai

tujh galī meñ ġhubār ban ke miyāñ
hijr kī ḳhaak ham ne chhānī hai

mujh ko tahlīl kar diyā pal meñ
kyā ajab marg-e-nā-gahānī hai

dil meñ mātam-kunāñ hai halqa-e-ġham
tere jaane kī soz-ḳhvānī hai

dasht-e-imkāñ to ek pal hai magar
pā-e-imkāñ to jāvedānī hai

kis qadar huuñ shikasta-pā phir bhī
ḳhud ko paane kī phir se Thānī hai

ek tasalsul se raigani hai
zindagi bhi ajab kahani hai

sar mein sauda naya samaya hai
dil mein wahshat wahi purani hai

tujh gali mein ghubar ban ke miyan
hijr ki KHak hum ne chhani hai

mujh ko tahlil kar diya pal mein
kya ajab marg-e-na-gahani hai

dil mein matam-kunan hai halqa-e-gham
tere jaane ki soz-KHwani hai

dasht-e-imkan to ek pal hai magar
pa-e-imkan to jawedani hai

kis qadar hun shikasta-pa phir bhi
KHud ko pane ki phir se Thani hai


Source: Vahshat Hi Sahi

Leave a comment

+