ab ishq se lau lagā.eñge ham
ab dil ke bhī kaam ā.eñge ham
jab jhuTpuTā hogā shām-e-ġham kā
palkoñ pe diye jalā.eñge ham
ham ban ga.e haiñ adā tumhārī
chheḌoge to ruuTh jā.eñge ham
ai mūnis-e-dil ai hijr kī raat
le chal diye ab na ā.eñge ham
kyā baiThe-biThā.e ho gayā hai
pūchheñge to kyā batā.eñge ham
vo aañkh baḌī jahāñ-numā hai
us aañkh se kyā chhupā.eñge ham
sahrā to 'zahīr' tañg niklā
ab dekheñ kidhar ko jā.eñge ham
ab ishq se lau lagaenge hum
ab dil ke bhi kaam aaenge hum
jab jhuTpuTa hoga sham-e-gham ka
palkon pe diye jalaenge hum
hum ban gae hain ada tumhaari
chheDoge to ruTh jaenge hum
ai munis-e-dil ai hijr ki raat
le chal diye ab na aaenge hum
kya baiThe-biThae ho gaya hai
puchhenge to kya bataenge hum
wo aankh baDi jahan-numa hai
us aankh se kya chhupaenge hum
sahra to 'zahir' tang nikla
ab dekhen kidhar ko jaenge hum
Source: Book : kulliyat-e-zahiir (Pg. 60)
Leave a comment