Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqi Siddiqui

  • Ghazal


aastin mein sanp ek palta raha


āstīñ meñ saañp ik paltā rahā
ham ye samjhe hādsa Taltā rahā

aap to ik baat kah kar chal diye
rāt-bhar bistar mirā jaltā rahā

ek ġham se kitne ġham paidā hue
dil hamārā phūltā-phaltā rahā

zindagī kī aas bhī kyā aas hai
mauj-e-dariyā par diyā jaltā rahā

ik nazar tinkā banī kuchh is tarah
der tak āñkheñ koī maltā rahā

ye nishāñ kaise haiñ 'bāqī' dekhnā
kaun dil kī raakh par chaltā rahā

aastin mein sanp ek palta raha
hum ye samjhe hadsa Talta raha

aap to ek baat kah kar chal diye
raat-bhar bistar mera jalta raha

ek gham se kitne gham paida hue
dil hamara phulta-phalta raha

zindagi ki aas bhi kya aas hai
mauj-e-dariya par diya jalta raha

ek nazar tinka bani kuchh is tarah
der tak aankhen koi malta raha

ye nishan kaise hain 'baqi' dekhna
kaun dil ki rakh par chalta raha


Source: Book : baar-e-safar (Pg. 34)

Leave a comment

+