Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Rahmati

  • Ghazal


pani pani rahte hain


paanī paanī rahte haiñ
ḳhāmoshī se bahte haiñ

merī aañkh ke taare bhī
jalte bujhte rahte haiñ

bechāre māsūm diye
dukh sāñsoñ kā sahte haiñ

jis kī kuchh tābīr na ho
ḳhvāb usī ko kahte haiñ

apnoñ kī hamdardī se
dushman bhī ḳhush rahte haiñ

masjid bhī kuchh duur nahīñ
vo bhī paas hī rahte haiñ

pani pani rahte hain
KHamoshi se bahte hain

meri aankh ke tare bhi
jalte bujhte rahte hain

bechaare masum diye
dukh sanson ka sahte hain

jis ki kuchh tabir na ho
KHwab usi ko kahte hain

apnon ki hamdardi se
dushman bhi KHush rahte hain

masjid bhi kuchh dur nahin
wo bhi pas hi rahte hain


Leave a comment

+