Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wafa Naqvi

  • Ghazal


mere hisse ki udasi mujhe lauTa dena


mere hisse kī udāsī mujhe lauTā denā
jā rahe ho to mujhe koī to tohfa denā

ek qatra bhī mirī pyaas bujhā saktā hai
maiñ ne kab tum se kahā hai mujhe dariyā denā

mere sahrā mujhe honā hai añdheroñ ke ḳhilāf
jis meñ sūraj bhī chalā aa.e vo ḳhema denā

kaun lā.egā kisī pyaas ke sajde kā javāb
ai ḳhudā dasht na ab karb-o-balā sā denā

ek tinkā na nikālegā bhañvar se mujh ko
maiñ samundar se ye kahtā huuñ safīna denā

mere hisse ki udasi mujhe lauTa dena
ja rahe ho to mujhe koi to tohfa dena

ek qatra bhi meri pyas bujha sakta hai
main ne kab tum se kaha hai mujhe dariya dena

mere sahra mujhe hona hai andheron ke KHilaf
jis mein suraj bhi chala aae wo KHema dena

kaun laega kisi pyas ke sajde ka jawab
ai KHuda dasht na ab karb-o-bala sa dena

ek tinka na nikalega bhanwar se mujh ko
main samundar se ye kahta hun safina dena


Leave a comment

+