Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasin Ali Khan Markaz

  • Ghazal


jahan baat wahdat ki gahri rahegi


jahāñ baat vahdat kī gahrī rahegī
vahāñ fikr apnī na terī rahegī

lajājat amīroñ se yak-dam uThā de
qanā.at se apnī faqīrī rahegī

na jiine kī ḳhvāhish na marne kā ġham hai
jo hālat hai apnī vo Thahrī rahegī

mujalla huā jab se dil hai hamārā
na marqad meñ apne añdherī rahegī

ghamanD har tarah karnā zebā nahīñ hai
javānī kisī kī na piirī rahegī

ḳhudā.ī kī qudarat ḳhudī se hai 'markaz'
muqallid haiñ jab tak asīrī rahegī

jahan baat wahdat ki gahri rahegi
wahan fikr apni na teri rahegi

lajajat amiron se yak-dam uTha de
qanaat se apni faqiri rahegi

na jine ki KHwahish na marne ka gham hai
jo haalat hai apni wo Thahri rahegi

mujalla hua jab se dil hai hamara
na marqad mein apne andheri rahegi

ghamanD har tarah karna zeba nahin hai
jawani kisi ki na piri rahegi

KHudai ki qudarat KHudi se hai 'markaz'
muqallid hain jab tak asiri rahegi


Source: Dewan-e-Markaz

Leave a comment

+