Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanveer Ahmad Alvi

  • Ghazal


mil bhi jata jo aab aab-e-baqa kya karte


mil bhī jaatā jo aab āb-e-baqā kyā karte
zindagī ḳhud bhī thī jiine kī sazā kyā karte

sarhadeñ vo na sahī apnī hadoñ se bāhar
jo bhī mumkin thā kyā us ke sivā kyā karte

ham sarāboñ meñ sadā phuul khilāte guzre
ye bhī thā ābla-pā.ī kā salā kiyā karte

jis ko mauhūm lakīroñ kā muraqqa.a kahiye
lauh-e-dil par thā yahī naqsh-e-vafā kyā karte

ab vo shāloñ kā qafas ho ki lahū kī ḳhushbū
dil pe lahrātī rahī barq-e-adā kyā karte

māñgne ko to yahāñ apne sivā kuchh bhī na thā
lab pe aatā bhī agar harf-e-duā kyā karte

ham ko ḳhud arz-e-tamannā kā salīqa bhī na thā
vo bhī 'tanvīr' bhalā uzr-e-jafā kyā karte

mil bhi jata jo aab aab-e-baqa kya karte
zindagi KHud bhi thi jine ki saza kya karte

sarhaden wo na sahi apni hadon se bahar
jo bhi mumkin tha kya us ke siwa kya karte

hum sarabon mein sada phul khilate guzre
ye bhi tha aabla-pai ka sala kiya karte

jis ko mauhum lakiron ka muraqqa kahiye
lauh-e-dil par tha yahi naqsh-e-wafa kya karte

ab wo shaalon ka qafas ho ki lahu ki KHushbu
dil pe lahraati rahi barq-e-ada kya karte

mangne ko to yahan apne siwa kuchh bhi na tha
lab pe aata bhi agar harf-e-dua kya karte

hum ko KHud arz-e-tamanna ka saliqa bhi na tha
wo bhi 'tanwir' bhala uzr-e-jafa kya karte


Source: Raqs-e-lamhaat

Leave a comment

+