ishq ishq ho shāyad husn meñ fanā ho kar
intihā huī ġham kī dil kī ibtidā ho kar
dil hameñ huā hāsil dard meñ fanā ho kar
ishq kā huā āġhāz ġham kī intihā ho kar
nā-murād rahne tak nā-murād jiite haiñ
saañs ban gayā ik ek naala nā-rasā ho kar
ab huī zamāne meñ sheva-e-vafā kī qadr
ālam-āshnā hai vo dushman-e-vafā ho kar
aur bande haiñ jin ko dāva-e-ḳhudā.ī hai
thī hamārī qismat meñ bandagī ḳhudā ho kar
umr-e-ḳhizr ke andāz har nafas meñ paatā huuñ
zindagī na.ī paa.ī aap se judā ho kar
baḌhtā hai na ghaTtā hai marte haiñ na jiite haiñ
dard par ḳhudā kī maar dil meñ rah gayā ho kar
kār-gāh-e-hasrat kā hashr kyā huā yā rab
dāġh-e-dil pe kyā guzrī naqsh-e-mudda.ā ho kar
ishq se hue āgāh sabr kī bhī had dekhī
ḳhaak meñ milā doge der-āshnā ho kar
kī qazā-e-mubram ne zindagī kī ġham-ḳhvārī
dard kī davā pahuñchī dard be-davā ho kar
zindagī se ho be-zār 'fānī' is se kyā hāsil
maut ko manā loge jaan se ḳhafā ho kar
ishq ishq ho shayad husn mein fana ho kar
intiha hui gham ki dil ki ibtida ho kar
dil hamein hua hasil dard mein fana ho kar
ishq ka hua aaghaz gham ki intiha ho kar
na-murad rahne tak na-murad jite hain
sans ban gaya ek ek nala na-rasa ho kar
ab hui zamane mein shewa-e-wafa ki qadr
aalam-ashna hai wo dushman-e-wafa ho kar
aur bande hain jin ko dawa-e-KHudai hai
thi hamari qismat mein bandagi KHuda ho kar
umr-e-KHizr ke andaz har nafas mein pata hun
zindagi nai pai aap se juda ho kar
baDhta hai na ghaTta hai marte hain na jite hain
dard par KHuda ki mar dil mein rah gaya ho kar
kar-gah-e-hasrat ka hashr kya hua ya rab
dagh-e-dil pe kya guzri naqsh-e-muddaa ho kar
ishq se hue aagah sabr ki bhi had dekhi
KHak mein mila doge der-ashna ho kar
ki qaza-e-mubram ne zindagi ki gham-KHwari
dard ki dawa pahunchi dard be-dawa ho kar
zindagi se ho be-zar 'fani' is se kya hasil
maut ko mana loge jaan se KHafa ho kar
Leave a comment