Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imam Bakhsh Nasikh

  • Ghazal


wo ru-e-kitabi to hai quran hamara


vo rū-e-kitābī to hai qur.ān hamārā
kahte haiñ jise ishq hai īmān hamārā

hāthoñ kī shikāyat hai hameñ dasht-e-junūñ meñ
paañv meñ ulajhtā hai garebān hamārā

har sub.h dikhātā hai hameñ jalva parī kā
bālā-e-havā-dār sulaimān hamārā

haiñ mardum-e-ġham-dīda ke dāñtoñ kī tarah band
misl-e-dahan-e-nañg hai zindān hamārā

ham ḳhāna-ḳharāboñ se mile kyā koī aa kar
darvāza-e-uftāda hai darbān hamārā

rahtā hai hameñ dhyān tumhārā hī hamesha
tum ko nahīñ aatā hai kabhī dhyān hamārā

aa jaa.e abhī jaan meñ jaan aao agar tum
tan hijr meñ be-jān hai ai jaan hamārā

be-khaTke tavahhush meñ na kyuuñ dauḌte phiriye
pahlū meñ hai be-ḳhār bayābān hamārā

lī jaan ḳhudā ne kisī but ne na kiyā qatl
niklā na dam-e-marg bhī armān hamārā

lī ham ne balā apne hī sar sab ko bachāyā
ai jaan hai aġhyār pe ehsān hamārā

har bait meñ ik shāhid-e-ma.anī kī hai tasvīr
'nāsiḳh' hai muraqqa.a nahīñ dīvān hamārā

wo ru-e-kitabi to hai quran hamara
kahte hain jise ishq hai iman hamara

hathon ki shikayat hai hamein dasht-e-junun mein
panw mein ulajhta hai gareban hamara

har subh dikhata hai hamein jalwa pari ka
baala-e-hawa-dar sulaiman hamara

hain mardum-e-gham-dida ke danton ki tarah band
misl-e-dahan-e-nang hai zindan hamara

hum KHana-KHarabon se mile kya koi aa kar
darwaza-e-uftada hai darban hamara

rahta hai hamein dhyan tumhaara hi hamesha
tum ko nahin aata hai kabhi dhyan hamara

aa jae abhi jaan mein jaan aao agar tum
tan hijr mein be-jaan hai ai jaan hamara

be-khaTke tawahhush mein na kyun dauDte phiriye
pahlu mein hai be-KHar bayaban hamara

li jaan KHuda ne kisi but ne na kiya qatl
nikla na dam-e-marg bhi arman hamara

li hum ne bala apne hi sar sab ko bachaya
ai jaan hai aghyar pe ehsan hamara

har bait mein ek shahid-e-mani ki hai taswir
'nasiKH' hai muraqqa nahin diwan hamara


Leave a comment

+