Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Laiq Aajiz

  • Ghazal


ek duniya bana gai miTTi


ek duniyā banā ga.ī miTTī
jis ghaḌī ruuh pā ga.ī miTTī

jis ne sochā ki rauñd deñ us ko
āḳhir ik din chabā ga.ī miTTī

maiñ ne jitne bhī biij bo.e the
bāñjh aurat thī khā ga.ī miTTī

tishnagī thī kueñ kī qīmat meñ
badlī chhā.ī girā ga.ī miTTī

surḳh-rū hai vo saarī duniyā meñ
saath jis kā nibhā ga.ī miTTī

sab qabāle uThā ke le aa.ī
kisī kī hai ye batā ga.ī miTTī

kis ne kab kis ko kaise qatl kiyā
shakl sab kī chhupā ga.ī miTTī

ek duniya bana gai miTTi
jis ghaDi ruh pa gai miTTi

jis ne socha ki raund den us ko
aaKHir ek din chaba gai miTTi

main ne jitne bhi bij boe the
banjh aurat thi kha gai miTTi

tishnagi thi kuen ki qimat mein
badli chhai gira gai miTTi

surKH-ru hai wo sari duniya mein
sath jis ka nibha gai miTTi

sab qabaale uTha ke le aai
kisi ki hai ye bata gai miTTi

kis ne kab kis ko kaise qatl kiya
shakl sab ki chhupa gai miTTi


Leave a comment

+