Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaan Nisar Akhtar

  • Ghazal


ranj-o-gham mange hai andoh-o-bala mange hai


ranj-o-ġham māñge hai andoh-o-balā māñge hai
dil vo mujrim hai ki ḳhud apnī sazā māñge hai

chup hai har zaḳhm-e-gulū chup hai shahīdoñ kā lahū
dast-e-qātil hai jo mehnat kā sila māñge hai

tū bhī ik daulat-e-nāyāb hai par kyā kahiye
zindagī aur bhī kuchh tere sivā māñge hai

khoī khoī ye nigāheñ ye ḳhamīda palkeñ
haath uThā.e koī jis tarah duā māñge hai

raas ab aa.egī ashkoñ kī na aahoñ kī fazā
aaj kā pyaar na.ī āb-o-havā māñge hai

bāñsurī kā koī naġhma na sahī chīḳh sahī
har sukūt-e-shab-e-ġham koī sadā māñge hai

laakh munkir sahī par zauq-e-parastish merā
aaj bhī koī sanam koī ḳhudā māñge hai

saañs vaise hī zamāne kī rukī jaatī hai
vo badan aur bhī kuchh tañg qabā māñge hai

dil har ik haal se begāna huā jaatā hai
ab tavajjoh na taġhāful na adā māñge hai

ranj-o-gham mange hai andoh-o-bala mange hai
dil wo mujrim hai ki KHud apni saza mange hai

chup hai har zaKHm-e-gulu chup hai shahidon ka lahu
dast-e-qatil hai jo mehnat ka sila mange hai

tu bhi ek daulat-e-nayab hai par kya kahiye
zindagi aur bhi kuchh tere siwa mange hai

khoi khoi ye nigahen ye KHamida palken
hath uThae koi jis tarah dua mange hai

ras ab aaegi ashkon ki na aahon ki faza
aaj ka pyar nai aab-o-hawa mange hai

bansuri ka koi naghma na sahi chiKH sahi
har sukut-e-shab-e-gham koi sada mange hai

lakh munkir sahi par zauq-e-parastish mera
aaj bhi koi sanam koi KHuda mange hai

sans waise hi zamane ki ruki jati hai
wo badan aur bhi kuchh tang qaba mange hai

dil har ek haal se begana hua jata hai
ab tawajjoh na taghaful na ada mange hai


Leave a comment

+