Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ezaz Kazmi

  • Ghazal


tere liye to mere pas bas dua hai yar


tire liye to mire paas bas duā hai yaar
tū is zamīñ pe bahut ūñchā uḌ rahā hai yaar

ye khiḌkiyāñ to mujhe aur kah rahī haiñ kuchh
samajh mire dil nādān ye huā hai yaar

ye duniyā-dār mujhe kis tarah se dekhte haiñ
ki ye bashar hai farishta hai devtā hai yaar

agar ye shauq nahīñ hai to kyā hai batlā de
tū kis liye mujhe khiḌkī se jhāñktā hai yaar

tū jis ko DhūñD rahā hai tujhe milegā nahīñ
vo shaḳhs mujh se kahīñ kab kā jā chukā hai yaar

ye tīrgī kī haiñ āñkheñ ki hijr kī lau hai
jo jal rahā hai vahāñ sāmne diyā hai yaar

tū jaanā chāhtā hai to tujhe ijāzat hai
magar patā to chale maiñ ne kyā kahā hai yaar

tere liye to mere pas bas dua hai yar
tu is zamin pe bahut uncha uD raha hai yar

ye khiDkiyan to mujhe aur kah rahi hain kuchh
samajh mere dil nadan ye hua hai yar

ye duniya-dar mujhe kis tarah se dekhte hain
ki ye bashar hai farishta hai dewta hai yar

agar ye shauq nahin hai to kya hai batla de
tu kis liye mujhe khiDki se jhankta hai yar

tu jis ko DhunD raha hai tujhe milega nahin
wo shaKHs mujh se kahin kab ka ja chuka hai yar

ye tirgi ki hain aankhen ki hijr ki lau hai
jo jal raha hai wahan samne diya hai yar

tu jaana chahta hai to tujhe ijazat hai
magar pata to chale main ne kya kaha hai yar


Leave a comment

+