Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jabbar Wasif

  • Ghazal


tamam shahr to be-mehr nind so raha tha


tamām shahr to be-mehr niiñd so rahā thā
magar maiñ āñkhoñ meñ nok-e-qalam chubho rahā thā

maiñ jāntā thā mire ashk marne vaale haiñ
maiñ jāntā thā ki jo mere saath ho rahā thā

mujhe ḳhabar nahīñ kab āñsūon ko hosh aayā
ḳhabar huī to maiñ zār-o-qatār ro rahā thā

kuchh is liye bhī ḳhudā kī mujhe zarūrat thī
maiñ apne khet meñ gandum ke biij bo rahā thā

ḳhayāl aayā mujhe jab ḳhudā badalne kā
maiñ apne ashkoñ se harf-e-duā bhigo rahā thā

mujhe jagā diyā jab fajr ke mo.azzin ne
darūn-e-ḳhvāb maiñ masjid kā sahn dho rahā thā

samajh rahā thā jise maiñ bhī nuuh kī kashtī
usī kā nāḳhudā logoñ ko ab Dubo rahā thā

thā bā-nasīb bhī aur bad-nasīb bhī 'vāsif'
jo pā rahā thā kisī ko kisī ko kho rahā thā

tamam shahr to be-mehr nind so raha tha
magar main aankhon mein nok-e-qalam chubho raha tha

main jaanta tha mere ashk marne wale hain
main jaanta tha ki jo mere sath ho raha tha

mujhe KHabar nahin kab aansuon ko hosh aaya
KHabar hui to main zar-o-qatar ro raha tha

kuchh is liye bhi KHuda ki mujhe zarurat thi
main apne khet mein gandum ke bij bo raha tha

KHayal aaya mujhe jab KHuda badalne ka
main apne ashkon se harf-e-dua bhigo raha tha

mujhe jaga diya jab fajr ke moazzin ne
darun-e-KHwab main masjid ka sahn dho raha tha

samajh raha tha jise main bhi nuh ki kashti
usi ka naKHuda logon ko ab Dubo raha tha

tha ba-nasib bhi aur bad-nasib bhi 'wasif'
jo pa raha tha kisi ko kisi ko kho raha tha


Leave a comment

+