Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dilshad Naseem

  • Ghazal


wo tera mujhse kaha harf harf sach nikla


vo terā mujh se kahā harf harf sach niklā
bhalā maiñ kaun tirā harf harf sach niklā

kahā thā us ne mohabbat fareb hai dil kā
vo jab bhī duur gayā harf harf sach niklā

anā-parastī meñ apnī misāl aap thā vo
jo us ne chāhā kiyā harf harf sach niklā

nahīñ hai koī shikāyat mujhe zamāne se
mujhe thā jo bhī gila harf harf sach niklā

likhī thī us ne mohabbat kī be-qarārī aur
vo jo bhī likh na sakā harf harf sach niklā

nahīñ ho tum to aziyyat hai kārobār-e-hayāt
ye jhuuT terā piyā harf harf sach niklā

wo tera mujh se kaha harf harf sach nikla
bhala main kaun tera harf harf sach nikla

kaha tha us ne mohabbat fareb hai dil ka
wo jab bhi dur gaya harf harf sach nikla

ana-parasti mein apni misal aap tha wo
jo us ne chaha kiya harf harf sach nikla

nahin hai koi shikayat mujhe zamane se
mujhe tha jo bhi gila harf harf sach nikla

likhi thi us ne mohabbat ki be-qarari aur
wo jo bhi likh na saka harf harf sach nikla

nahin ho tum to aziyyat hai karobar-e-hayat
ye jhuT tera piya harf harf sach nikla


Leave a comment

+